Maali pareshaani ke lia wazifa

Q: Mei bohot pareshan hoon. Maali pareshani boht hai. Mei Allahb paak se boht dua bhi maangti hoon aur abhi umrah bhi ada kar ke aayi hoon lekin mujeh aisa mehsoos honey laga hai ke meri dua qabool nahi ho rahi. Dua kis soorat mei qabool nahi hoti? Aur agr aap koi quran ya hadith mei se wazeefa bata den rizq mei kushaadgi ka to boht mehrbani ho gi. Duaon mei yaad rakhiye ga.

A: Har pareshaani ka hal Allah ke haat me he. Agar banda apne zindagi ku Allah ke marziyaat ke mutaabiq banai owr sunnat wali zindagi guzaar de to Allah Ta'ala us ke pareshaani dowr karenge, us ku kush rakenge owr har qisam ke taraqqi se maala maal farmaienge. Panch waqt ki Namaaz ki paabandi karo aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ke mutaabiq guzaro. Har waqt zabaan aur ankh ki hifaazat karo. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd kasrat se ye parho: يَا وَهَّابُ owr اَللَّهُمَّ اكْفِنَا بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنَا بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ. Allah Ta'ala aap ke pareshaani ku dowr farmai.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)