Qurbaani jaanwar ki umar ma'loom karne ke lia daanto ku dekhna

Q: Mujhey ye pata karna tha key hum Qurbani ka janwar leney jatey hain to hum uskey daant check karkey uski umer ka andaza lagatey hain lekin aaj kal hamarey yahan aisa bhi honey laga hey janwar key daant ghiss kar usey 2, daant bana diya jata hey aur kayi bar to itni safai sey janwar ko tayyar karkey laatey hain key hum andaza bhi nahi laga paatey hain to iska koi hal batayen key kis tarha'n usey check keya jaaye. Aur khuda na khasta agar hum aisa janwar ley bhi aatey hain aur hum uski qurbani krdetey hain to kia wo jaaiz hogi ? Please detail mein answer dejiyega.

A: Agar bechne wala jaanwar ki umar bataye owr tajraba se ye jaanwar bhi us umar ka lagta he, to us jaanwar ku qurbaani ke lia khareed sakte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)