Kaamiyaabi ke lia wazifa

Q: Me bohot pareshan hun. Har taraf se ghar ki taraf se paise ki taraf se har har taraf se jis kaam mai hath dalta hun ruk jata hai. Apni zindagi se pareshan a chuka hun. Kya karun hazrat?

A: Har pareshaani ka hal Allah ke haat me he. Agar banda apne zindagi ku Allah ke marziyaat ke mutaabiq banai owr sunnat wali zindagi guzaar de to Allah Ta'ala us ke pareshaani dowr karenge, us ku kush rakenge owr har qisam ke taraqqi se maala maal farmaienge. Panch waqt ki Namaaz ki paabandi kare jamaat ke saat Musjid me aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ke mutaabiq guzare. Harwaqt zabaan aur ankh ki hifaazat kare. Gunaah waali zindagi se bache. Esha namaaz ke ba'd ayk hazaar ayk so dafa' (1100) يَا لَطِيْفُ parha kare owr parhne se pehle owr parhne ke ba'd gyara daf' durood shareef parhle. Allah Ta'ala aasaan farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)