Bimaari ki haalat me tayammum karna

Q: Mujhe ye poochna he ke kabhi kabhar humen sardi wala bukhar hota he, aur bohot sardi lagti he. Aysi haalat me andaaza nahi hota ke wudhu karne se haalat bigar jaegi ya normal hi hogi, lekin paani me haath lagane ko himmt nahi hoti to kiya aysi soorat me namaz ke wakt tayamum kar skte he? Ya phir ye jaaiz nahi?

A: Agar ghaalib gumaan yahi ho ke paani chaahe garam ho ya thanda ho dono se sihhat par athar parega to taymmum kar sakte he, aur agar mahaz thande paani se sihhat par athar parta ho to paani garam karke wudhu karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)