Waswasah aur kathrat-e-auhaam ki wajah se zabaan se kuch ghalati nikalna

Q: Ager aik aurt jo ka wehem our wesasyy ki mareez ho weswasa any pur os ka monh sa Allah ke bary ma naous billah gali nikal jay asa os sa shadi sa phly aik bar our aik bar shadi ka bad asi gulty ho jay osi aurt sa ya gulti ho jay kh wah shitan ko gali da rahi ho our bura keh rahi ho our allah ka bary ma keh reh ho allah pak our raheem ha lakin tention ma olt nikel jay yani jo shitan ko keh rahe thi woh nikak jay os ka liay kia hukum ha is bat ko 15 sall ho ga han lakin mujay ab malom hua ha is terh iman our nikha fased ho jata ha pahly maray demag ma tha kh muj sa gultea shitan ko khany lagi the to huni han 15 sall sa ya hi zahen ma tha lakin ab achanik khial a ga ka ma na jan bhuj ker sub khah ha mujy ajj kul ya bimari ho gae ha jo kheal ata ha ma na asy kheh dea ha ya ma na falna kam ker lia ha to mujay puka yakeen ho jataasa he ha chahy asa hua ho ya nahi asel hakeket bul kul zahen sa nikel jata ha asal mesla kya bhe ya hi halet ha asel ma muj sa ya gulteana kasy huny lakin mujay itna pata ha lekin keh jis wuket ya sub hua mary dil ma kufer ka koi khial nahi tha mara jub sa mujay sumj aie ha mara Allah our piary Nabi Muhumed sull allah alhy asem par pukhta yakeen ha ma numaz rozay ki pawnd hun darud shareef tusbh kusrut sa purty hun allah ka khof dil ma buhut ha bus buranu sa buchny ki koshish ma ya sub weswasy aty han ma gunah sa pak zindgi guzarna chahty hun lakin mujay otnay hi wehem zeada aty ha kabhy lugta ha kheh ma na yah gulty ker de thy khas ker ebadet ma yani umray kerty wuket hujj kerty huy chahy us gulty ka wajod ho ya na mujy yakeen ho jata asa hi ha mara sub batany ka muksud ya ha ap mujy gaid kareny ta ka ma bhutuk na janu. Please mujay batany ka ju muj sa gult alfaz nikly han on sa mary nikha our iman tu fased nahi ho ga kgas krr nikha ka bary ma ma bary paryshan hun tejdey iman to ma bar bar kurty hun. Please mujay mary iman our nikah ka bary ma batany aik bohut paryshan bhen ki iltaja ha.

A: Agar waswasah aur kathrat-e-auhaam ki wajah se zabaan se kuch ghalati se nikal gaya to uska taubah karna chaahiye. Allah muaaf farmaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: May tauba to har waqt karti hun magar mujhy bata dein kay is se meri nikaah se to koi farak nahi parta? Thora explain kar dein.

A: Jab tum ne tawbah karliya, to us ki taraf diyaan ne de. Choonke ye tumhaari zabaan se ye baat be iraada se nikli, is lia tumhare Imaan owr nikaah par asar nahi huwa.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: