Talaaq dene par sign karna

Q: Mai hospital mai tha or mari biwi ke ghar waly chahty hain hamari divorce hojaay. Phir mai or mari biwi saath rehna chahty hain. Friday say Wednesdy tak mai hospitl mai tha or bed rest per tha. Isi baat ka faaida utha kar mari biwi ko qaid kra gya or mry pas ni any dia or zabardasti us say divorce paper per sign krwa liye or usny khd ni chodna tha per father na pressurise kar k sign liye or phr 6 din bd jb mai ldki k ghr gya toh mjhy us say milny ni dia or mjhy ldki k father na kaha usny tmhy chod dia or usny dsri jagah shadi ki haan krdi phr mjhy yeh sb bta kr sign ly liye gay q k milny tk ki pabandi thi or mjhy jhoot bola gya or phr mari biwi na ksi trhan mjh say contact kra or btaya k sb jhoot hai or zabardasti ki gae mjh say? Toh mujhy jaanna hai ke hamari divorce aisay hogae hai ya ab bhi hum husband wife hain. Please sir jaldi bata dain.

A: Agar aapne talaaq dene ka sign diya ho ke tujhe talaaq dena manzoor he to talaaq waaqi hojayegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: