Bhai ki biwi ki taraf se Qurbaani karna

Q: Mera sawal ye hai ki kya koi shaks apne bhai ki biwi ke naam qurbani kara sakta hai? Mera ghar ka kharch mere shauhar ke paise se chalta hai. Mera Dewar bhi hai Jo kamata hai lekin mere shauhar ne apne walidain Bhai bahen sabke naam ka bade janwar ki qurbani me hissa liya. Khud sahibe nisab hote hue bhi qurbani ka hissa liya. Mere shauhar ne apne paise se laye hue bakre ki qurbani apne Bhai ki biwi ke naam se karayi or ye kaam unhone meri saas ke kahne par kiya Aise halat me kya farz qurbani ada hui ya fir nafil aisa karke mere shauhar par wajob tark to lazim nahi hua. Shariyat me ye qurbani jaiz ha ya nahi. Dusra sawal ye hai ki kya bahu sasur ke kapde dho sakti hai ya for press kar sakti hai. Baraye meharbani shariyat ki roshni me islah kare.

A: Agar bhai ki biwi ki ijaazat ke saath uski taraf se qurbaani jaanwar kharida gaya aur qurbaani huwi to qurbaani durust hogi.

Jee.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)