Khwaabo ki ta'beer

Q: Main hmesha teen tarah khwab dekhta hun. Peahla ye hai ki meri train hmesha chut jaati hai main pakadne ke liye train ke piche daudta hun fir bhi chut jaati hai kbhi kbhi main train me hi rhta hun but jb kuch lene k liye niche utrta hun meri train chut jaati hai main pareshan hun aksar aise khwaab aate hain mujhe.

Dusra khwab ye hai ki main aksar bade bade sanpo ko (snakes) ko dekha karta hun halanki wo mujhe kuch karte nhi kbhi kbhi main hi unko dande se ya far kaise bhi maar deta hun mere ghar me kuch shaitani aasrat bhi hain is nazariye se bhi to ye kuch galat khwab se to nhi?

Teesra khwab bht ajib sa hai jisme main dher sara laterine karta hun. .. ye teen khwab aksar mujhe aate hain main samjh nhi pa rha hun ye akhir hai kya.

A:

1. Paanch waqt ki namaaz Musjid me bajamaat parhne ka ihtimaam kare.

2. Paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle teen qul (Surah Ikhlaas, Surah Falaq owr Surah Naas) owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

3. Allah Ta'ala aap ku halaal rowzi naseeb farme.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada