Zee rooh cheezo ki tasweer

Q: Me ne dream dheka ke jammat kari ho rahi ti aur me ne namaaz pari aur phir jab nikala tu muje ek insaan mila kheta ma Hazrat Muhammad  (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki picture khanchi camera sa. Me na kha yar muje dehko ma na bi dehkana. Phir ma na kha kae muje ek Hazrat Muhammad  (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki picture nikal kar doa us na kha acha phr ma na dehka ek apple jo kisi na khaya howa ta metlab ka bas jesay ma apple ko eat kartay hai aur bas khali raha jatay hai edar sa esa tara aur muje esa feel how ka koi Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) sa taluq raki cheez.

A: Hadhrat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ne khood zee rooh cheezo ki tasweer lene se mana farmaya. Lihaaza iska hamesha khiyaal rakhna chaahiye aur jis cheez ka ihtimaam rakhna chaahiye woh aap ki ta`leemaat aur sunnate he ye he mahfooz karne ki cheeze he aur dhiyan me rakhne ki cheeze he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)