Aakhirat ku yaad karna owr us ke lia tayyari karna

Q: Maine khwaab main daikha ke aaise jagha hote hai ke jahn na zameen hoti hai na aasmaan or lowg hotay hain or whan py shakas number pukar rahay hotay hain or jb wo 20 number pukarty hain tou main apna hath khada kar dete hen. Please mujhy batain ky main kya krn main bht tension main hu. Is ke liye koi wazifa ya phir sadqa wagera dena ho tou batain.

A: Mu'min ku chahia ke har waqt aakhirat ku yaad kare owr us ke lia munaasib tayyari kare. Qiyaamat ke rowz jab lowg jama' honge mahshar par owr waha par sab ku apne apne naam se pokaare jaaenge hisaab kitaab ke lia, jin ke paas acche aamaal he, un ku acha badla milega owr jin ke baas bure aamaal ho, un ke lia jahannam jaane ke lia faisla hoga. Allah Ta'ala hum sab ku najaat naseeb farmae owr us rowz ki zillat se bachae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada