Lotion aur cream istimaal karne ke ba'd wudhu karna

Q: Mera sawaal ye he ke sardi ke dino me jild rookhi hone ki wajeh se hum hath, peyr ya chehre par lotion ya cream ya teyl lagate he. Kya isse wudhu nahi hota? Agar wudhu ho jata he to kya is se cream ya teyl ki chiknaahat ya smoothness ko dho-dho kar bilkul khatm karna hoga ya jild ko bilkul rough karna hoga? Ya sirf pani ko chehre ya haath par malne ya ek baar dhone hi se wudhu ki adaaigi ho jayegi. Kya chiknahat ko bilkul khatam karna zuroori he?

A: Agar cream ya lotion paani ku aa'daa tak phonchne se rowkta he, to wudhu us ke saat durust nahi hoga. Owr agar cream owr lotion aysa ho ke paani aa'daa tak phonchega, to wudhu us ke saat durust hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)