Allah Ta'ala ke faisle se sub kuch hota he

Q: Maine khwab dekha ke mai sab ko mera daya haathh uthakar pur jush se keh rahi hu ke tumhe kya malum ke Allah ne hazrat suleman alai salam ko hawao me badshahi di thi.Aur samne suleman alai salam hai shayad aisa lag raha hai.Aur uske baad mai ne dekha ke mai ek room me bed pe kuch taklif se leti hui hu wahi room me bazo ke bed pe mere nana lete howe hai.Aur uske baad azaan huwi aur mai namaz ki taraf uth kar ja rahi hu.Uske baad maine dekha ke mere ammi abbu mujhe aur mere chote bhai ka haath mere haath me haiham road pe aage aage bhag rahe hai. ammi abbu hamare piche road pe hamko pakarne ke liye bhagte aa rahe hai.aur mera accident hote hote bacha aur mai cycle par gir gai.fir ammi abbu mujhe uthakar ghar lekar gai.plz jald khwab ki tabir bataiyye

A: Hamesha yaad rakhe ke sab kuch Allah Ta'ala ke haat me he owr unhi ke faisle se sab kuch hota he. Kisi Insaan se kuch nahi hota he, warna Ambiya az khud apni taraf se koi mu'jiza nahi karsake. Jo kuch un se huwa, Allah Ta'ala ki hukm se huwa. Lihaza agar aap kaamiyaab banna chachti, to Allah Ta'ala ki taraf ruju kare owr un ke saare ahkaam baja laae. Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Koi bhi kaam maa baap owr baro ke mashwara ke baghair ne kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada