Showhar bila kuch bataye apni biwi ku chowrkar chala jaana

Q: Agar shohar bina kuch bataye apni biwi ko chhhod ke chala jaata hai (35 saal ho jate hain) to woh auarat dusra nikah kar sakti hai?

A: Agar showhar ne apni biwi ku talaaq nahi di, to biwi abi tak us ke nikaah me he. Jab biwi us ke nikaah me he, to wo kisi owr se nikaah nahi kar sakti. Lekin, agar us ka nikaah khaawind ke saat faskh kya jae, to iddat guzaarne ke ba'd wo doowsre khaawind ke saat nikaah karsakegi. Faskh karne ke lia us ku chaahia ke apne ilaaqe ke Jamiatul Ulama ke paas jae owr unku apni pareshaani batawe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: