Khwaab ki ta'beer

Q: Aaj raat me ne ek khawaab dekha jisme mujee saap (snake) dikhayee diyaa jo bhout hi khoofnaak tha. Bohot ziyada bara tha. Bohot khoffnaak. Jo muj par hamla karne wala tha mai usse bach raha tha. Phir mujee itaa yadd hai kai shaydd mne uss kai muhh par pair rakh diyaa. Lekin wo marr nahii rha. Mujhe pura yakeen hai woo zinda hai. mai bata nhi skta woo kitna bra or khoffnakk tha...plzz iss khawab kai bare mai btayee. or ek question or mai pehle kabhi kbhi namazz partha kabhi 5 waqt kabhi 3 waqt...or kabhi bilkul nahi,, lekin aaj kal mai bikul bhi namaz nhi parr rha..har waqt galat khayal aate rehte hai dimaag mai... plzz mere help kijiyee.

A:

1. Paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle teen qul (Surah Ikhlaas, Surah Falaq owr Surah Naas) owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

2. Deen me Imaan ke ba'd tamaam faraaidh owr ibaadaat me se namaaz ku sab se ziyaada ahammiyyat di gai he. Namaaz ka maqaam nihaayat buland he. Hadith Shareef me aaya ke Qiyaamat ke rowz sab se pehla sawaal namaaz ke baare me hoga. Agar banda is me kaamiyaab huwa, to ummeed he ke Deen ke dowsri cheezo me bhi wo kamiyaab hojaega. Owr agar wo is me nakaam huwa, to dowsre cheezo me nakaam hoga. 

Namaaz ku qadha karna haraam he. Bohot bara gunaah he. Sakht waeede Hadith Shareef me waarid huwi he us aadmi ke lia jo apni namaaz ku qadha kare. Sache dil se aap Allah Ta'ala se tawbah kare guzishta namaazo ke chowrne ki wajah se owr apne dil me azam kare ke aainda aap koi namaaz qadha nahi karenge. Issy tarah guzishta faut shuda namaazo ki qadha karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada