Ihtilaam

Q:

1. Agar mujhe khawaab yaad he aur mahsoos bhi huwa ho ye ihtilaam hoga lekin agar mujhe koi khwaab yaad na ho aur na hi kuch bhi mahsoos huwa ho lekin uthne par gheelapan ho jo ke aam towr par awrat ki sharamgaah se discharge hota he to kya ghusal waajib hoga?

2) Mujhe ziyaadatar gheelapan mahsoos hota hai toh mujhe ye kaise pataa chalega ke mani toh nahi?

3) Kya awrat ki sharamgaah se discharge aur mani ke rang mein farq hota hai?

4) So kar uthne par awrat ki sharamgaah se discharge dehkne par ghusl farz hai? Agar farz hai toh kya mahine ke ziyaadatar dino mein ghusl karna hoga?

A:

1. Agar aap ne koi khwaab ne dekha owr utne par kuch tari dekhi, owr aap jaanti he ke ye discharge he, mani nahi he, to aap par ghusal waajib nahi he.

2. Agar aap shak karti ho mani hone owr ne hone me, to ghusal aap ke upar waajib he.

3. Jee ha.

4. Upar number ayk aur do ki taraf ruju' karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)