Jhooti qasam

Q: Main aik mamlay mai shamil thi. Mairay shohar ko pata chala to unho nai kaha quran per hath rakh ker kaho kai tum is mamlay mai nahi or agar jhoti ho to meri olad mar jai. Mai nai aisa hi kaha. Ab mujhay batain. Please kai kia is ka kafara hai. Main bohatt pareshaan ho. Mairi olad ku kuch na ho. Please mairi madad karain.

A: Agar tum jhoti ho to taubah karlo. Taza wudhu karlo aur chaar rakaat namaaz parho aur Khuda se taubah karo aur kuch sadaqah bhi dedo. Allah Ta`ala maaf farmaaye aur aulaad tumhaare aankho ki thandak banaade.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)