Chimgaadar dukaan ke andar aana

Q: Mera ayk chota ka business hai or hmlog ka kaam zada tarr raat me hota hai. Kuch din pehle raat me main or mere 2 dost hamare office me tha k achanak raat k 3 baje k kareeb office k khirki se 1 chimgadar (bat) ghus aya tha. Ghabra kar hamlog ne us chimgadar (bat) ko gate khol kar bahar nikal diya. Us din ke baad se hmlog office nahi jaa rahe hai, or us din se mera kaam ahista ahista band hogaya or mera kaam aisa hai ke agar office nahi jaye to bhi phone se kaam hojata hai par us din ke baad se ahista ahista pura band hogaya hai. Main apne kaam k jaddojehatt me laga houn lekin kuch ho nahi rha hai.

A: Ye intihaa darjah ka be-wuqoofi he. Chimgaadar kya hota he, kya koi darne ki cheez he. Us ka khatra to bachche se bhi kam he. Uski taraf bilkul dhiyaan ne kare. Daftar par jaao aur peth bhar karke kaam karo chaahe hazaaro chimgaadar aajaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: