Aqeeqa ki niyaat se zinda jaanwar kisi faqeer ku dena

Q: Mera sawaal ye hai ke kya aqiqa ke leye bakra lekr Qurbaani karna zaroori hai ya zinda bakra bhi aap kisi gharib ko aqiqa ki niyat se de sakte ho ya bakra ki qeemat ke paise kisi gharib ko aqiqa ki niyat se de do to kya in sorto me b aqiqa ho jayega ya bakra lekr qurbaani kerna zaroori hai? Please tafseel se samja dain.

A: Jaanwar zabah karne se aqeeqa hoga. Faqeer ku zinda jaanwar dene se ya us ki qimat dene se aqeeqa nahi hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)