ض ka makhraj

Q: Noorani qaiday mai bachay ko ض ka kya sound pardhaengay "zuad" ya "duad"? Ehl e sunni or ehl e hadees mai alag alag sound se pardha jata hai kya? Hum ehl e sunni kis sound se pardhaen or is k sound se meaning mai farq pardta hai kya?

A: Uska makhraj haafatul lisaan - zabaan ka pichle kinaara jabke woh adhraas-e-ulyaa (oopar ke dhaar) se mile. Saheeh talaffuz keliye to ustaaz se seekhna dharoori he.

Dono eik hee tarah se parhte he. Jo saheeh aadmi he woh to saheeh parhega aur jo ghalat he woh ghalat parhega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: