Ghalat khiyaalat aur waswase

Q: Meri umer 28 years hai and unmarried ho. Har waqt mere mind mai negative thinking and shaytani waswasee ati hai. Bahot ziyada disturb ho, nimaz hi nahi per sakta shytani waswasoo and sexy khiyalat se, asthfar ki wazifa kasret se kerta ho lakin ithna khas aser nahi hora ha. Please koi wazifa bata de ke ye sare problems solve ho jaye.

A: Aap in ghalat khiyaalat aur waswase ki waja se namaaz qaza na kare. Namaaz qaza karna bohot bara aur sungheen ghunna he. Jis tarah ke khiyaalat tumhare zehen se ghuzarte bhi ho, us ke taraf dhiyaan ne de aur namaz parh le. Aainda har namaz apni saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare aur ghuzishta zamaana ke fot shuda namaazo ki qaza bhi karle. Issi tarah aap Allah Ta'ala se taubah karle namaazo ki qaza karne ki waja se aur pukhta azam kare ke aainda aap ki kooi namaz qaza nahei hogi. Rozaana thora waqt nikaale subah aur shaam Fazaail Aamaal aur Fazaail Sadaqaat ke taleem karne ke lie.

Aap ku samajna chaahiye ke har pareshaani ka hal Allah ke haat me he. Agar banda apne zindagi ku Allah ke marziyaat ke mutaabiq banai owr sunnat wali zindagi guzaar de to Allah Ta'ala us ke pareshaani dowr karenge, us ku kush rakenge owr har qisam ke taraqqi se maala maal farmaienge. Panch waqt ki Namaaz ki paabandi kare aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ke mutaabiq guzare. Harwaqt zabaan aur ankh ki hifaazat kare. Gunaah waali zindagi se bache. Allah Ta'ala aap ku sukoon naseeb farmae owr aap ku khush rakhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)