Waalid hamesah na khush rehta he

Q: Mujhe apki islah ki zarurat he hr raste se mayus hoke apko msg kr rhi hu me taleem ki class me b jati hu esa b nhi he ki waha sb sunke mere dil me nhi utrta sb sunke bohot khauf ata he mere abbu mujhse hmesha na khush rehte he ye mamla bchpan se he unhe pehli aulad beta chahie tha ek wjah ye b rhi me ye nai kehti me sahi hu lekin me dil se kitni koshish krti hu tb b kbi aajtk esa nai hua ki me unke dil me jgah bna pai hu Kbi kehte he tmhari aaj tk shadi nai hui ye tumhe sza hi to mili hui he tumhe itna pdaya tmne wesi koi job nai ki jo pdai kamyab hoti yaa mera bojh km hota itna kmaya hota kbhi ye ki tmhari surat acchi nai he koi rishta nai lata wo un bato pe b naraz hote he jo me kisi or k abbu ko kehte hue nai sunti me unhe kuch pka k du unke lie kuch kru uspe b gussa krte he me b gandi hu me manti hu mujhse brdasht nhi hota me hr namaz me niyat krti hu allah se dua krti hu mujhe mere maa baap ka farmabrdar bna de magar na mujme brdasht aati he na unki narazgi jati he Me ye ykin krti hu unki bddua se meri ye duniya b brbad he wo b ho jaegi chahe me 5 waqt namaz pdlu magar mujhe tb b mayusi milegi yhi soch k lgta he jb wo khush nhi to namaz pdke b meri qubul nhi ho rhi sb bekar he wo mere taleem me jane ko b kehte he tu kitni namaz pdle kamyabi mil jae to kahiyo jahannum me hi le jaegi teri zuban tujhe ese kehte he to mujhse raha nhi jata me bol deti hu ki aap bete ko itna kyu nhi datte mere hr kaam se naraz kyu hote ho Aap btae me kya kru or kya ese me meri koi b ibadat mujhe jahannum se bcha paegi yaa sb zaya ho raha he dil nai lgta namaz me b kese bchu me sbse kya Allah tala mujhe maaf kr dega kya sch me mujhe kbhi kamyabi nhi milegi shadi k baad b dukh hi milega?

A: Aapki khiyaalaat saheeh nahi. Kaamiyabi mahaz khuda ta`ala ke haath me he. Jab aap Allah ki naa farmani karte nahi to kisee aur cheez se darne ki dharoorat nahi, chaahe koi bara ya waalid ya us se bare aapko koi koosta he ya la`nat karta ho us se koi nuqsaan nahi huwa. Ebrahim (alaihis salaam) ke waalid ne, ne mahaz unko koosa balke makaan se baahar kardiya lekin woh to kaamiyaab tareen insaan me se he. Jageh jageh Quraan me unka zikr kya bari ta`reef ke saath aur uski wajah yahi he ke naa farmaan nahi the. Khuda ke fadhal se aap bhi na farmaani karte nahi lihaaza Allah ka kaamiyaabi aapko dharoor pohnche. Dare math. Yaa Subboohu Yaa Quddoosu Yaa Ghafooru Yaa Wadoodu parhke apne waalid ke oopar dum kardo chupke se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)