Taqreer me Sahaabi ki islam se pehle ki zindagi ka zikr karna

Q: Ayk shakhs kisi Sahaabi ki Islam se pehly ki zindagi ka zikar kerta hai ke wo apny zamany lutery, choor thy lekin Allah ne un se kaam lia, to kia kisi Sahaabi ki Islaam laane se pehly ki zindagi awaam ke saamne byaan kerna jaaiz hai?

A: Agar bayaan ka maqsad Allah Ta'ala ki ni'mat-e-Islam zikr karna he ke Islam se pehle unki kya zindagi thi owr Islam ke ba'd kya tabdeel aayi owr kaysi mujaahada waali zindagi guzaari, to is tarah bayaan karna jaaiz hoga kyuke is tarah bayaan karne se Sahaabi ki shaan me koi tanqees nahi ayegi balke lowgo ke dilo me un ki izzat owr azmat barhegi. Leikin agar kissie soorat me andesha ho ke log nahei samjenge aur un ke dilo me Sahaabah ki shaan me tanqees aa sakti he, to is qism ke waaqiaat zikr na kya jaae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)