Miscarriage ke ba'd khoon nikalna

Q: Mera miscariage howa 5 weeks pregnancy ti us k bad 2 weeks bleeding ti pir browish discharge ta dr ne scan kia or bataya k water cyst hi or wo gand baqi hi us ne muje medicine di hi 15 days k liye ab muje white discharge buhat hai kabi kabi wo brown hota hai mai is condition mai naimaz par sakti ho.

A: Agar miscarriage me bachcha ke kuch a`dha abhi zaahir ne huwe to jo khoon uske ba`d ayegi woh haiz shumaar ki jaayegi agar haiz ki aadat ke mutaabiq he. Phir jo haiz aur tuhr ki aadat thi haml se pehle usee ke mutaabiq shumaar karte rahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)