Zakaat owr sadaqah

Q: Me apni mali pareshani door karny ke liye apni salary se har month kuch pesa nikalna chahty hon, taky jo bhi mali pareshani hy woh door ho. Aap yeh batain ke yeh pese kis tarhan or kis niyat se nikaly jayen gay. Aya ZAKAT ki niyat se ye SADQY ki niyat se. Or kia har month nikalna zaroori hy ya saal me ek dafa. Agar har month nikaly jaye to us me koi harj to nahi hy. Main pehly se 2.5 % (Dhai Fesad) nikalta aa raha hon apni salary ka jo mustahiq ko jata hy. Magar phir bhi haalat wese hi hain or abhi tak ZAKAT ke naam se nikal raha tha. To kia woh tarika ghalat tha? Kia yeh pese sadaqay ki niyat se nikalny chahye thay or koi or tariqa ho to woh bhi bataye.

A: Agar aap saahib-e-nisaab the, to aap ke zimme zakaat waajib tha. Jab tum ne paise zakaat ki niyaat fuqara ku dediya, to aap ne saheeh kya. Zakaat ada hogai. Lekin agar aap saahib-e-nisaab nahi the, to agar che aap ne zakaat ki niyyat se fuqara ku paise dediya, zakaat nahi huwi, sadaqa hogaya. Zakaat saal me ayk hi dafa waajib hote he.

Apni maali pareshaani door karne ke lia namaaz ke ba'd ye dua parhe.

اَللَّهُمَّ اكْفِنِيْ بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِيْ بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)