Allah hee ke lia ibaadat karna

Q: Hazrat shaik Abdul qadar jilani suna hai bhot bade Allah wale the to kya inke sawab kliy nafl roza rakhne se hamara iman buland hoga.aur ek sawal qasida ghosia Ki fazilat kya hai. Khatme qadriya ka procedure kafi bada hai kya yaseen shareef Quran etc padhkr inhe isal e sawab nahi karsakte ham?

A: Roze to Allah Ta`ala keliye rakhe jaate he, balke har ibaadat chota ho ya bara khuda hee keliye kya jaye jis kaam khuda hee keliye kya jaaye us se imaan me taraqqi hogi idhaafa hoga aur quwwat-e-imaani madhboot aur qawiyy hogi.

Aap sunnato ki paabandi kare. In cheezo ke peeche ne pare.

Yahi kar sakte. Rozana makaan ke andar ta`leem kare Fazaa'il-e-A`maal aur Fazaa'il-e-Sadaqaat ki. Allah Ta`ala bohot barkat dega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: