Allah Ta'ala ke taqdeer se khush rehna

Q: Subah sehri ke waqt ma nay khwaab dekh hay or ma iss ki tabeer janna chahta hu. Please mujhe iss per guide karay. Ma ayk jaga kharidana chahta ho per abi os jagah ke maalik ke sath deal nahi ho paa rahi, wo inkar kar raha hay per ma koshish may ho ke os say jaga ka soda kar lo. Khwaab may ma dekhta ho ke ma office may os ke sath betha ho, or ma os say jaga ki baat kar raha ho, bayanay ke toor per ma os ko checqe denay lagta ho per meri checque book ka har cheque kharab nikalta ja raha hay ma jis checque ko bhi katanay ki koshish karta ho os may kuch na kuch masla nikal ata hay ahista ahista may tamam checque book dekhta ho per koi b cheque nahi kaat sakta , meray account may pasay majood hay per ma payment nahi kar sakta. iss k bad ma osay jagah lenay ka bolta ho per wo muje bari sahti k sath dant kar mana kar deta hay or baat hatam kar deta hay, or meri ankh khool jati hay. Muje is khuwab ki kuch samj nahi aa rahi bara meharbari meri madad karay. Allah ap ko iss ki jaza day.

A: Ba'z dafa banda koi cheez chahta he lekin Allah Ta'ala jaante he ke wo cheez us ke lia achcha nahi he. Is wajah se Allah Ta'ala us ku wo cheez naseeb nahi farmate. Banda ku chahia ke wo hamesha Allah Ta'ala ke taqdeer se khush rahe owr apna dil dunyawi cheezo se hataade. Agar koi cheez kisi ke lia muqaddar he, to wo cheez apne waqt me zuroor aaegi. Khwaab issy ke upar dalaalat kar raha he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada