Khwaab me sitaaro dekhna

Q: Raat mein ne khwaab dekha mein mere biwi jo hamla hai mere abu or meri ammi jo kay fot ho chuki hai. Ghar ki chhatt par baithay hai or hamay aik sitara nazr aata hai bohat kubsurat hum sub dekhtay hai phir aik or nazar aata hai phir aik jaga jhurmat mein zyada sitarey nazar aatay hai phir mujhe suraj nazar aata hai bohat chhota sa magr baqi log nahin maantay yeh suraj hai suraj jb nazar aata hai m saro kay bilkul upar hota hai es kay baad suraj mashriq ki janib aana shuru ho jata hai or bara bhi hota jata hai phir sub maan jatay hai ha yeh suraj hi hai surab aise surakh hota hai jaise khun ahista ahista suraj bohat bara ho jata hai or us maqam par aa jata hai jaise kay abhi talluu huwa ho or bohat nazdeek or bohat bara hota hai phir suraj aik dum hi kaala ho jata hai phir aik dum surakh ho jata hai aise kaafi dair chlta rehta hai phir aik dum se hi suraj kaala ho kar phatt jata hai or m shor machata hu qayamat aa gayee or neechay bhaag aata hu neechay aa kr chhup jata hu mera aik bhai mujhe neechay milta hai jisay kehta hu qayamat aa gayee suraj kay phattnay se zameen par zalzala aata hai or suraj ki raakh zameen par aa jati hai jo saans lainay se naak mein jati hai mujhe phir khyal aata hai mere abu ammi or meri biwi to upar hi reh gaye hai mein un ko lainay kay kiye jata hu to mere biwi mujhe drwazay par kharri roti huwi milti hai or kehti hai ammi es tarf bhAgti huwi gayee hai abu bhi ammi kay peechhay gaye hai mein apni biwi ko andar le aata hu or phir meri aankh khul gayee.

A: Sitaaro se muraad Allah Ta'ala ke neak bande. Hamehsa neak bando ki suhbat me rahe taake neak raaste ke upar chalte rahenge owr gunaaho se parhez karenge. Suraj ka kaala hona owr phatna ye zamaane ki fitno ki taraf ishaarah he. Allah Ta'ala zamaane ki fitno se hum sab ki hifaazat farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada