Abortion

Q: Meri shaadi ko 5 saal hogaey hain or meri 2 betiyan hain. Mere haan teesri khush khabri hai. Mere husband abhi aulad nhe chahtay. Iski wja ye hai k meri choti beti abhi 15 maah ki hai wo kehte hain k bht choti hai abhi ye beti. Dusra ye k wo zyada terr mulk se bahir rehte hain jiski wja se wo zyada time nhe de paey meri pehli 2 betiyoun ko or mje b nhe. Wo kehte hain k ab main tm logon ko time dena chahta hon. Mere sath b bht kum time guzra hai unka. Meri tabiat theek nhe rehti pregnancy mein. Bht tough guzerta hai sara time. Bed rest pe hoti hon isse ghar mutasir hota hai. Or hamari kafi lerhai rehti hai is pura time. Mere husband or main pareshan hain bht. Ap btaen is soort-e-haal mein hmain Islam kya kehta hai. Kya mje isko chalana chahiye ya rok dena chahiye? Hum ehtyat kr rhay thay phr bhi hogya. Ab kch nhe ho sakta? Abhi shuru he hai bus. Abhi pta chala hai mje kal raat he.

A: Usko chalaana chaahiye. Eik ma`soom bachcha ko maar daalna konsi aqal mandi ki baat he. Eik be-gunah insaan ko aur apne hee bete ko peth ke andar khatam kar dena ye kya insaaniyat he. Ye koi poochne ki baat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: 
Labels: