Fardh owr Sunnato parhna

Q: Mujhe har baar poori namaaz parna chatihu phir sir faraz namaz aada karti hu kyu?

A: Aap himmat kare. Himmat ke beghair koi kaam nahi hosakta he. Jab namaaz ka waqt daakhil hojae, to namaaz parhle, ta'keer ne kare. Fardh ke ilaawa, Sunnat bhi bohot zuroori he. Jo aadmi Sunnato ku chowrdete, wo gunehgaar he. Aap Allah Ta'ala se tawbah kare Sunnato ke chowrne ki wajah se owr pukhta azam kare ke aainda aap Sunnato ku nahi chowregi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)