Mani aur mazi me shubah

Q:

1. Me ye poochna chahti hu ke jab me so kar uthti hu tab koi geelapan nahi hota lekin me apne kapro ko dhiyaan se check karti hu tab mujhe kapre ke color print bhi mani ke daag jaise lagte he aur samjh me nahi aata ke ye mani he ya nahi. Kabhi aisa lagta he ke daag he kabhi lagta he ke nahi he. Baraaye meherbaani bataye ke in shak ke beech me namaaz kaise adaa karsakti hu?

2. Agar hasb-e-dustoor discharge ka daag ek dirham se kam ho to usse saaf karna zaroori he?

A:

1. Agar mani aur mazi me shubah ho to ghusl karlo aur daagh ko dholo.

2. Ye to waajib nahi albatta usko wayse hee chordena karaahiyat se khaali nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: