Mustamal paani ke cheenten

Q:

Wudhu or ghusal karte waqt paani ma cheenten parjaye to kiya us paani se wudhu nahi hota? Agar nahi to kia kiya jaye jab tak wudhu aur ghusal khatam na ho ihtiyaat ke bawajood bhi cheenten parte rehte he kitni dafa banda us paani ko baha ke paak karay? Kuch btaaye.

Namaaz me hansi ko roktay huwe moo band rakhe or moo me hi thori si awaaz paida ho hansi dabate huwe to bhi namaaz tot jaye gi?

A: Uska isti'maal karna durust he.

Agar is qadar hanse ke hansne ki awaaz aapne sunli to namaaz toot jayegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)