Lowgo se poochna owr madad maangna

Q: Ak sawal hai ek shaks jo dawate islami se juda hai uske do bachchiyan bhi hain aur koi karobar wagarah bhi nahi hai. deen ki khidmaat khoob anjam dete hai unke paas zayada paisa bhi nahi ki koi bussiness kar len. kuch tution wagaira aur kisi dini bhai se madad ke zariye se aamdani ho jati hai. unke paas apna makan bhi nahi hai bank mai Rs-5000+ LIC-Rs 26752 + bachchi ka yojana karaya hua RS 20000 + other Rs- 25000 hai total=76752 hai aur ek zameen wale se zameen khareedane ki baat karli hai jo zameen taqreeban Rs-750000 seven lakh fifty thousand me tay huee hai to kaya aaise me jo log madad ke liye kah rahe hain jo ki zakaat ka paisa hi denge to le sakta hai ki nahi . hadees ki roshni me jawab inayat farmayen.

A: Agar woh khood apne haatho se kaam kar sakta he aur guzaara kar sakta he to usko logo se poochna aur madad maangna durust nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)