Ihraam ki haalat me kin cheezo se ijtinaab karna?

Q: Ihraam k ander kin cheezon ke ehtiyat ke jae or aise amal jin par sadaqa ya dum lazim hota ha un k baray me tafseel se btaden.

A: Ihraam ki haalat me in cheezo se ijtinaab karo: khushboo lagaana, baal aur naakhun kaatna, biwi se hambistari karna, sile huwe kapre pehenna.

In cheezo ko irtikaab karne se ba`dh soorato me dum dena laazim hoga aur ba`dh soorato me sadaqah dena laazim hoga. Tafseel keliye Mu`allimum Hujjaaj ko dekho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)