Bachche ko doodh pilaana do saal ke ba'd

Q: Meri sister ka beta 3 saal 1 maah ka hy or wo abhi tk apna doodh pilati hn. Kafi samjhanay ki koshish ki hy. Gunah ki sorat may kaffara bataiay. Please rahnumai farmaiay. 

A: Bachche ke doodh pilaane ka zamaana 2 saal tak he. Majboori ki soorat me jaise agar bachcha bohot kamzor he aur doosra khana nahi khaata hai to Fuqaha ne dhaai saal tak doodh pilaane ki ijaazat diy he us se ziyaada jaazi nahi he. Aap apni behen se kahe ke fowran bachche ko doodh pilaana chor de aur istighfaar  kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)