Allah ke wali ki kya phechan hai

Q: Mera sawal yeh hai ki Allah ke wali kon hoteh hai. Allah ke wali ki kya phechan hai. Agar koi nek shaks ko wali banah hai toh kya kareh?

A: Wali ki pehchaan ye he ke woh hamesha taa`aat me rehte he, khuda ki koi naa farmaani choti ho ya bari karte nahi, kathrat se zikr karte he aur sunnat ki paabandi karte he.

Hamne oopar baatadiya.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)