Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne khuab me Qaba shareef ko dekha. Log Qabay k darwazay pe hath rkh k duaen kr rhe thay. Jesa k aam tor pe aap television pe dekhtay hen. Or us k baad me ne dekha k Qaba shareef logon ko apne paas se door hata rha h. Or sub log qabay k paas dobara atay hen. Pr phr bhi Qaba un logon ko apne ap se door krta h. Aisa baar baar me ne hotay dekha. Tabeer bata den. 

A: Khwaab ki tabeer ye he ke Kabah shareef ki fuyooz haasil karne ke lie insaan ku chaahiye ke wo nek aamaal kare aur ghunnaho se parhez  kare. Agar nek aamaal karenge aur ghunnaho se nahei bachenge, to Kabah shareef ki fuyooz se mahroom honge. Is wajah se aap ne khwaab me logo ku is tarah dekha ke Kabah shareef se qareeb ho rahe he aur phir door ho rahe he. Nek aamaal karne se qareeb huwe aur ghunna karne se door huwe.

T.V. mut dekho. T.V. dekhna jaaiz nahei he. T.V. ke andar zi rooh ki tasweere hote he jin ka dekhna jaaiz nahei he. Hadith shareef me aaya ke jo log zi rooh ki tasweer banaate he ya rakhte he, to Qiyaamat ki roz un ku sab se sakht azaab diya jaaega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada