Nazr ki hifaazat karne me dushwaari

Q: Me bahot koshish karta hoon nazro ki hifazat karne ki magar tanhai me nazro ki hifazat nahi karsakta. Hamesha duwa karto ho Allah mujhe nazro ki hifazat ki taufeek ata farma aur apne gunaho se mafi mangta rehta hoon, aur jamat ke sathiyo ke saath rehne ki koshish karta hoon, gasht aur taleem me sath deta hoon aur ghar me bi rozana taleem hoti he, aur weekly markaz jane ki koshish karta hoon, aur ulema (Tariq Jameel Sab, Saad Sab, Mufti Taqi Usmani, Zulfekar nakshabandi Saab etc) ke bayan bi sunta ho pir bhi sab logo ke darmiyan nazron ki hifazat hoti magar akele me karna bahot mushkil hota he. Kuch hal bataiye. Meri umar 26 years he shadi ke liye rishta dekhrahe he, ache rishte ke liye duwa kariye mufti sahab.

A: Jaldi shaadi karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)