Ilm-e-ghaib kya hai?

Q: Ilm e gaib kise kahte hai? Nabi word ka mayna kya hota hai, agar chhupi hui cheez ka ilm gaib kahlata hai to ye sabit keejiye ki Allah se bhi kuch chhipa hai?

A: Ilm e ghaib Allah Ta'ala ke saath khaas he. Allah Ta'ala ke alaawa kissie aur ku ye ilm haasil nahei he. Ilm e ghaib ka ma'na ye he ke har waqt har cheez khaa dunya me ya aakhirat me Allah Ta'ala ke saamne ho owr bilaa waasta Allah Ta'ala ku uska poora ilm he kyoonke har jaga Allah Ta'ala haazir aur naazir he aur har cheez se baa khabar he, aur zarra baraabar koi cheez Allah Ta'ala se makhfi nahei he. Allah Ta'ala har cheez ku har waqt dekhte he aur jaante he aur us ka kaamil ilm rakhte he. Zaahir he ke is tarah ka ilm ne kissie nabi ya wali ya farishta ku haasil he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: