Tableeghi jamaat ka maqsad

Q: Aaj kal dawat ka kaam ka rukh badal gaya hy, maulana saad sb ne is tarteeb ko badal daali hy. kuch saal pehle log jab 3 din bi lagate tho zindagi me bohat tabdeeli aati thi,kyu ke us waqt log deen ko seekhne ki tadap se nikalte the.

Lekin aaj 4maah bi lagaye, tabdeeli tho alag baat, kuch bane huye log bi bigad kar aarahe hy.q ke is waqt log qurooz ko hi asal samajte hy,na ilm ka shouq, na zikr ka.blke in aamal ko dawat ke mukable me nazarAndaz kiya jaaraha hy.

My tho samajta hu ki in sab ki wajah maulana saad sb ka banaya hua naya tarteeb hy, aur unke naye naye azeeb bayanat jisme wo quran , hadis wa sirat se galat meanings nikal kar ummat saamne pesh kar rahe hy.awaam ki mind wash kar rahe hy,jiski wajah se awaam madaaris wa khanqaho se alag hona tho alag baat bohat saare in deeni shobe waalo se dushmani tak kar rahe hy.

Isiliye kaam ki hifazat k liye maulana ibrahim dewla sb d.b jaise bade akaabir markaz ko chor kar hijrat karna pada. maulana saad sb ki bayanat se naraaz hokar darul uloom, mazahirul uloom, jamia dhabel, kashiful uloom madras,gijarat ke kayi madarise haq, jamiat ulema wa majlise ulama south africa aur mufti ebrahim desai sb,m mufti ahamad sadiq desai sb aur bi bohat saare bade bade ulama se fatwe aaye hy.haji abdul wahab sb, maulana tariq jamil sb jaise pakistan ke akaabir bi maulana saad sb se bilkul raaji nai hy,wo kisi ki baat ko parwa nai kar rahe, jhooti ameer ki daawa karte huye logo ko jabardasti se jhooti bayyat kara rahe hy.

Itne saare ulama wa mshaikh unko samjhane ke baad bi maulana saad sb me jara bi change nahi aaya hy.wo ab bi pehle se jyada galat bayanat kar rahe hy, jinse ummat me jhagade aur bi jyada hoagaye hy.kaam ka maksad , tareeqa, tarteeb sab badalte jaraha hy.

kya ham aisi haalat me maulana saad sb (jinka bado ki sohabat me tarbiyat nai hui hy, aur jin par kayi ulama e haq ki gumraahi ke fatwe hy)kya ham unki galat galat baato ki itaat karte huye unse jude? yaa fir, markaz ke bohat bade purane maulana ibrahim sb, maulana ahamad laad sb, maulana yaqub sb, hazrat faruq sb etc ki itaat karte hue, unki rehabari me kaam kare jo hamare pichle dono hazratji ke mubarak zamana dekha, unki sohabat me kaam ko seekha, aur ummat ko ulema wa mashiakh se jodne ki har hamesha kosish kar rahe.

Aaj ham bohat pareshan hy ham kinki rehabari me kaam kare?

A: Jamaat ka kaam ka maqsad haq aur saheeh baat ko seekhna he aur phelana he. Ghalat baato ko seekhna sunna ya usko phelana ye ghalat aur baatil he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)