Khwaab ke ba'd discharge nikla huwa dekhna

Q: Me aap se teen cheezen poochna chahti hun

1. Kai baar mujhe khwaab to dikhte he lekin wo jinsi nahi balke kashish waala hota he to kya ye bhi ihtilaam hi hoga?

2. Agar khwaab yaad nahi he lekin uthne par dekha ke har roz waala discharge he to kya ghusal waajib hoga?

3. Agar uthne par uljan ho ke kya khwaab dekha ya nahi aur kapron par discharge me uljan ho mazi aur discharge ke beech to ghusal karna hoga?

A:

1. Agar mani nikal gaya to ihtilaam hoga.

2. Agar aap ku shubah he mani aur discharge ke darmiyaan, to ghusal karle.

3. Ihtiyaatan ghusal karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)