Talaaq ke baare me shak hona

Q:

1. Mai ne aik din jhagray k doran apni wife se kaha "neechy ayo, tumhen talaq deta hon" ye statement present me nahi balkay future k lye bola tha. Matlab tum neechay ao phr tumhen talaq deta hon.

2. Larai k baad, meri mother ne meri wife ke absence me mujh se kaha k meri wife keh rahi hai k us ne ab meray sath nahi rehna. mai ne kaha theek hai. meri mother ne "Theek hai" wali baat meri wife se bhe nahi kahi tu kia hukam hai. Meharbani farma ker meray shaqooq or veham ko door karain.

A:

1 & 2. Talaaq nahi huwi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

(Scroll down for more information regarding this question)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Mai ne es question aik or mufti sb se pucha tha jis ka jawab unhn ne ye dia hy (Urdu wala). Mujhe aap se es jawab ki tafseel maloom kerni hai jab k aap se be ye masla pucha tha to aap ne kaha k kuch be nhi ho ga.

السلام علیکم آپ نے طلاق کو بایں معنی معلق کیا نیچے آنے سے اگر کوئی ٹائم متعیں کیا تھا تو ٹائم تک وہ شرط پوری نہیں ہوئی تو طلاق نہیں ہوگی اگر مطلق کہا اور وہ نیچے اتر گئی تو طلاق ہو جائے گی ایک

A: Jumle ka matlab ye he ke aap ne apni biwi se kaha ke jab aap neeche aayengi to me aap ku talaaq doonga, lihaaza agar biwi neeche aayi owr aap ne talaaq nahi de, to talaaq nahi huwi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: