Kiya peele rang ke discharge ke ba'd ghusal karna parega?

Q:

1. Peele rank ka discharge ho to ghusal karna laazimi he?

2. Gusal ke waqt kiya sharamgaah se baal bhi hataane parte he peele rang ka discharge ho jab?

A:

1. Agar ayyaam-e-haidh ho to ghusal karna dharoori he.

2. Ghusl me to paani ko poore jism par pohonchaana dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

(Scroll down for more information regarding this question)

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Leucorrhoea (safed peele rang discharge) ke bad ghusal waajib hojata he. Aap ne bataya tha ke peele rang ka discharge napaak hota he to ghusal wajib hojata hai.

A: Agar haidh ki muddat ke andar woh zardi nazar aajaaye to haidh shumaar kya jaayega.

And Allah Ta`ala knows best

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)