Kya "tum meri taraf say farigh ho" se talaaq hogi?

Q: Ager koi husband apni wife ko kay aik sath 2-3 bar boly kay tum meri taraf say farigh ho or us ki niyat sirf ghussy ka izhar kerna ho to kya is surat may talaaq ho jati ha ager ho jati ha to konse kisam ke?

A: Agar aapke yahaa urf ye he ke in alfaaz se aammatan talaaq hoti he to talaaq-e-raj'ee ho jayegi. Owr agar aapke yahaa urf nahi he, to showhar ki niyyat par mawqoof he. Agar in alfaaz ke bowlne ke waqt us ki niyyat talaaq thi, to talaaq-e-baain hojaegi warna talaaq nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: