Taweez

Q: Ye wakhiya padey aur bataye ke ye kaha tak sahi hai.  Ek martaba Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki khidmat mein (10 Aadmiyon ka) ek wafd (Islam qubool karne) aaya, Aap sallallahu alaihi wasallam ne un mein se 9 se bait li aur 1 se hath rok liya. Unho ne Aap sallallahu alaihi wasallam se iski waja puchi. Aap sallallahu alaihi wasalam ne farmaya "Is ne taweez pehen rakha hy." Ye sun kar us ne gireban me hath daal kar taweez ko tukrray tukrray kar diya. Phir Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne us se bait li aur farmaya "Jis ne taweez latkaya us ne shirk kia." [Musnad e Ahmad Hadees: 17558]

A: Mene ye hadeeth dekhi nahi lekin jo ghalat qism ki taweeze hoti he hadeeth me uski sakht mumaana`at he. Ghalat qism ki taweez woh he jisme shirkiyyah alfaaz ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: