Allah Ta'ala par ummeed rakhna

Q: Mai Allah se hajat krta hu or ummeed rkhta hoo or hajat me mere saare raaste band ho gye fir bhi Allah se ummeed rkhta hoo duniya waale mjh pagal khte hai kya mai galat hoo?

A: Muslamaan ku chahia ke har waqt wo Allah Ta'ala ki rahmat ki umeed kare. Kisi bhi waqt me wo Allah Ta'ala ki rahmat se mayoos ne hojai. Aap lowgo ki baato ki taraf diyaan ne de. Apni zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat ke mutaabiq guzaare owr gunaaho se parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)