Chori huwi cheez ko waapas karna

Q: Mai ny kuch sal pehly kesi k ghar mai chori ki thi or apni nanai amma ki bhi chori ki hai bhot martaba nani amma ka to intaqal hogaya hai. Lekin jis k ghar mai chori ki doston k sat mil kr wo log wo ghar chor kr chalygy. Koi bhi address nai hai unka. Mai bhot sharminda hn apni as harwaqt pr or Allah sy mafi bhi mangta rehta hn. Aap koi hal btao jis sy meri aakhrat mai pakar na ho.

A: Agar aap un lowgo ka pata kisi tareeqe se mil sakte, to unka haq (khwa paise ho ya koi owr cheez ho) unku phonchaade. Owr agar aap un se nahi mil sakte, to churaai huwi cheez ya uski qimat ku sadaqah karle unki taraf se.

Jo cheez ya paise tum ne apni naani se churaai, usku apni naani ke taraka me waapas karde. Phir wo paise aap ke naani ke wurasaa ke darmiyaan taqseem hojaegi unke Shar'ee hisso ke mutaabiq.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)