Biwi ke zina karne ke ba'd saat rehna?

Q: Mera ek dost he, uska nikah 8 sal pehle hua tha, nikah k 5 sal bad uske badhi mannnato se ladhka peda hua, bchcha 1.5 sal ka ho gaya or uski maa, mere dost ki biwi ko ashiqi ka bhukhar chadha, wah uske walid ke ghar aksar milne jaya karta thi, or kuch din rukti bhi thi., uske walid ke ghar rehkr usne kisi ger mehram se talukat kayam kiye or hamila bhi ho gyi, bad iske jab uska shohar usse lene gya to unke samne us ger mehram ke sath bhag gyi, or 24 gante bad bhagte huye pakdhaye, pakdhane ke baad uske walid us ladhki ko uske gar le gye, mere dost ne talaq ki ichchha jahir ki par rishtedaro ne chalne nhi diya (us bhagne k mamle ko ranjish bata kr niptaya gaya) or use us waqt is haram kari ke bare me nhi bataya gya, mere dost ne uske bachchhe ki khatir us ladhki ko maaf kr diya, jab mere dost ki biwi uske ghar aayi to 15 din achchhe se rehne ke baad usne natak chalu kr diye, or uske shohar ko sari bate quran sharif par hath rakh kr sab bata diya, uske shohar ko sab pata chal gya, or wah us ladhki ke sath nhi rehna chahata, or ladhki bhi nhi rehna chahti, ab masla ye he ki us masoom ka kya hoga, uska baap use rakhna chahta he, or uski maa dena nhi chahti, baap ko pata he agr ladhki bachcha le gyi to us ladhke ki zindgi tabah ho jayegi... ab bataye kya aesi aurat ko nikah me rakhna sahi hoga wo bhi bachchhe ke liye, ya talaq de diya jaye? agr mera dost sabr karta he to use kya azar milega,? aur agr aesi biwi ka katal kar de to gunah hoga???

A: Agar woh sabar kar sakta ho bardaasht kar sakta ho aur biwi ke saheeh hone ki ummeed ho to sabar karle aur usko bardaasht karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: