Nikaah se pehle najaaiz ta'alluq rakhna

Q: My question is, kya muhabbat karna gunna hai? Kya musalman se muhabbat karna gunnah h? Jis insan se main muhabbat karte hu woh musalman h in fact hanafi h kiya yeh kafi nhn h? Kya kuwari baligh bache apni marzi se nikah nhn karsakte? Main alima banne wali hu bs 2 ya 3 saal reh gaye h muje recently realize hua k pehle Allah hai phir duniya. Jab maine realize kiya k pehle Allah phir duniya h toh jis bande se main muhabbat karte hu woh baligh musalman woh bhi hanafi h kiya yeah kafi nhn h? Hamare ustado ne yeh sikhaya k jab kisi kuwari aur baligh ka nikah ka time ata h toh woh khudi decide kar sakte h. Mere ma baap specially ma chati h k main mufti se nikah karu. Kaise trust karu jab aj kal k zamane main trust karna he mushkil h jaise hufaz smoke aur drink karte h, jab k Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k zamane main huffaz Quran ko protect aur yaad karte thai aur jab written nhn hoti thi toh foran yaad karte thai. Same goes with mufti aj kal k zamane main mufti ab marte galiyan bagte paise k peeche jate jab k Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k zamane main bilkul he nhn tha. That's something different but jab hazarat Ali, Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k ghar main dakhil hue thai aur hazrat Fatima k liye rishta mange thai toh ap ne farmaya insha Allah aur foran apne baite hazrat Fatima k paas chale aye aur faramaye baite Fatima hazrat Ali ne apke liye rishta mangne aye haan kehdu? Toh hazrat Fatima ne farmaya ji phir apne rishte ko accept kiya. Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ne toh gali nhn de nor beti k saath batameez ki nor force kiya k tum mufti se nikah karna lazmi h. Yeh toh nhn kaha right??.. Jab hum Islam ko sikh rahe hain toh amal bhi karna chaye. Beshaq Islam main 4 cheezain dekhna chaye nikah k liye. Par jis bande se main muhabbat karte hu woh musalman h kafir nhn yahan tak k woh shia nhn h bs hanafi h aur musalman bhi kiya kafi nhn h? Main alima ban rahe hu aur mushkil se deen ko accept kiya jab k main duniya k studies k peeche bhag rahe the aur jab k maine muhabbat ki toh deen pata nhn kahan se kahan take phoch gaye jab k na islam main aur na deen main force h. Main kiya karu? Main unhe se nikah karna chati jisse main behad muhabbat karte. Muje pata h deen muhabbat se chalta h na k zabardasti se. Main zabardasti ki wajah se ghalat raaste main nhn jaana chati hu par lag raha zabardasti ki wajah se arahe hu. Muje pata nhn main kiya karu? Kahan jao? Kisse bolu? Yahan tak k meri ma khud alima ban rahe h shes deenv and duniyav educated but still she's acting like she doesnt know anything? Dusra sawal kiya kisi momin k feeling k saath kehlna islam main jaiz h?? Kisi momin k feelings ko hurt karna islam main jaiz h? Kiya yeh islam h? Jab ek couple ek dusre ko muhabbat karte unke feelings k saath kehlna jaiz h?? Jab ma baap baat nhn sunte bacho ki toh khudkushi karwana inhn m main jaiz h? Jab couple main se ek banda cough syrup piye jab woh larki se behad muhabbat karta h larki k ma baap ki wajah se kiya yeh islam main jaiz h? Dusro ko hurt karna aur apne manmane karna kya yeh islam main jaiz h? Kya yeh sab islam main jaiz h?

A: Tum mahabbat karo apne maa baap se aur apne bhai behno se. Ghayr aadmi se mahabbat karna ye haraam he. Ajnabi aadmi se mahabbat karna ye sab shaytaano dhoke aur gumraahi he.

Aap apne waalidayn se ijaazat talab karo. Ye intihaa darje ki be-sharmi he ke tum aysee baate soch rahi he. Kya apne waalidayn ke ihsaanaat ko bilkul faramosh kardiya. Bila inke ijaazat ke aysee baate soch rahi ho.

Agar feelings ke khel karne se dhoka dena ho ya isko aziyyat pohonchana ho to najaaiz he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)