Wasaawis

Q: Ye bta dein en fikro sa mery iman owr nikha per to aser nahi houa. musla ya ha ka mein wehum owr weswsay ki mareez houn muj sa 3 4 gultyan ho gai hein jin ki waja sa buhut tention mein houn ka in sa mery iman owr nikh per to asser nahi ho gaya (1)muj per gusul ferz tha haiz owr jinabut ki halut mein thi to mein na kupra jis per kulma shreef likha hua tha otha ker dosry taruf rukh dea ab mujay nahi malom ka kulmay ko mein na choua ha ka nahi (2)mein apnay batay ka sath bat k.er rahi thi ka tum na doup (sun) mein ja ker apna rung (colour) kitna black ker lia ha pher mein na naraz ho ker keh dea hisai ( christian ) sa kerta kia ha (3) mein apni humsai( neighnour) ko bata rahi thi jub meri ammi fout huni thi to meray walid na a ker kaha beta allah ka hukum sath hi mein na ya keh dea ka mein nahi manti ya bat mein na humsi ko baty huy kehi ka abu na asa kaha or mein na asa kah jis wequt meri walda ka intaqal hua os weqt mein na asi koi bat nahi ki thi bus humsai ko batty huy mery mounh sa asa nikul gaya meray dil mein allah ka hukum ka bary mein kuch gult nahi tha bus mein na juldi sa keh dea agy mein na kia bat ki mujay kuch yad nahi lakin bad mein mujay shitan na weswasa dala kek tum na allah ka hukum ka bary mein jan bouj ker asa kaha ha by chans asa fekra bun gaya mery dil mein asa kuch nahi tha (4)mein na bagair wazu ka sipary (quran) ko chou lia alfaz ko hath nahi lagaya bus opper sa pukra( 4 ) mein nay apnay bucho sa bat kertay huay ya keh dea ager tnm na nahi khaya to kia fereshtay a ker yaa sub kha gay mujay in sub gultyioun ka bary mein bata dein ka in sa mery iman owr nikh per to aser nahi houa shukrya

A: Inki taraf dhiyaan ne de. Durood shareef parhe aur Allah Ta`ala ki madad aur panaah maango. In baato ki taraf dhiyaan dena koi thawaab ka kaam nahi. Khwa ma khwa waqt ko kyu dhaai` kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)