Daari ka mazaaq uraana

Q: Sir yeh suna maine ke darhi ka mazak urhana goya Sunnat ka mazak urhana or Sunnat ka Mazak urhanay wala Islam say kharij hojata hay or biwi mzak orhaye to shohar k Nikah say kharij hojati hay.... yeh bat recently pata chali hay mujhay.. mera sawal yeh hay jab may is mslay ko nahi janti thee tab may husbnd say yeh kehdeti thee k darhi banvaw hoosh lagrhay ho like yeh b mtlb hargz nai hota tha k darhi saaf krwale puri, set krwale yeh hoti thee wish etc irada hrgiz darhi ka mzak urhana nahi hota tha or mere shohar permanent darhi nai rkhtay hamesha ab rkhnay lagay hain wo bhi halki..or na he mujhay pata tha k Islam say kharij hojata banda to mera irda hargiz shirk krnay ka nahi tha... kia is say Nikah tootgaya? Koi fark para?

A: Aap Islam se khaarij nahi huwi. Leikin apne shohar se daari saaf karne ki baat ki waja se aap Allah Ta'ala se taubah kar le. Murdo ke lie eik mutti ki baraabar daari rakna waajib he. Jo aadmi us se pehle us ku kaate ya us ku mundaaye, bara ghuneh gaar he. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: 
Labels: